Namaskar Dosto,
Agar aapki koi website hai ya banane ki soch rahe hai to aapko sitemap banana aana chahiye aur use search engine (google, bing, yahoo) me update Karna bhi aana chahiye. Kyu ki dosto koi bhi website bina sitemap ke kisi bhi kam ki nahi hoti. Bina sitemap ke aapki website par koi bhi organic traffic nahi aayegi aur jab tak site par organic traffic nahi aati tab tak Adsense approval bhi nahi milta aur jyada earning bhi nahi hoti.
To dosto aaj ki is post me me aapko sitemap banana sikhaunga aur use search engine par update Karna bhi sikhaunga jisse ki aapki website bhi search me aaye aur us par organic traffic aaye. To dosto meri site WordPress par hai to me aapko WordPress me ye sara kam karke bataunga.

STEP BY STEP GUIDE 
1. Sabse pahle aapko apni website ka c-panel open kar lena hai. C-panel open karne ke bad plugin me Jane ke bad add new par click Karna hai.

Sitemap kaise banaye

Add new par click karne ke bad aapke samne upar ke picture jaisi screen aa jaegi. Yaha par aapko search Karna hai “google xml sitemap” . Fir jo google xml sitemap ka plugin dikh raha hai use install kar lena hai aur fir activate kar lena hai.

Sitemap kaise banaye

Next aapko setting par click karke “xml sitemap” par click kar lena hai. Aapko kisi bhi setting me koi badlav nahi Karna hai.

Sitemap kaise banaye in hindi

Itna karne se aapki website ka sitemap ban jaega.  Aap upar dekh sakte hai “http://technicaldost.com/sitemap.xml” meri website ka sitemap hai. Aap soch rahe honge ye to mamuli sa hai. Ha mamuli hai lekin ise banana jaruri hai.
Ab meri website ka sitemap ban chuka hai ab ise search engine me update Karna hai. Me aapko google me daal kar dikha deta hu. Baki sabhi search engine ki bhi yahi process rahegi.

2. Sitemap ko search engine me update karne ke liye aapko sabse pahle google me “google webmaster tool ” search Karna hoga. Next aapko google webmaster tool me account create Karna hai.

Sitemap kaise banaye in Hindi

Next Add property par click karke aapki website ko add Karna hai. Fir continue par click karne ke bad website ko verify Karna hoga ki ye website aap hi ki hai.
Aapko ek code milega use copy Karna hai aur website ke c-panel me Jane ke bad >appearance >editor >theme header par click karke website ke header me copy code ko paste karke update file par click kar Dena hai. Next aapko google webmaster me jaker verify par click kar dena hai. Verify hone ke bad webmaster ke option me sitemap par click Karna hai or jo pahle hum sitemap bana chuke hai use paste kar dena hai.

Sitemap kaise banaye in Hindi
Sitemap kaise banaye in Hindi

Picture me banaye anusar sitemap paste karne ke bad submit par click Kar dena hai. Aap picture me dekh sakte hai kuch time bad success ho jaega. Success ka matalab hai ki aapki website ka sitemap ban chuka hai aur google search engine me update bhi Ho chuka hai. Yahi kam aapko bing webmaster tool aur yahoo webmaster tool me bhi Karna hai jisse ki aapki website in search engine me bhi update ho jaegi.

To dosto agar post pasand aayi ho to share jarur Kare aur technical dost ko facebook twitter aur instagram par bhi follow jarur kar le.