Techni Tech k is post me hum aapko Tik Tok ( Musically) app k bare me batayenge. Is app ko china me Douyin k nam se jana jata hai so let's start todays topic
Musically app download karne ke badh aap usse open kijiye. Jaise hi aap tik tok musically app ko open karenge to aapke samne automatically video chalne lagega.
Pehle aisa nahi hota tha. Pehle musically app ko use karne ke liye hame musically app me sabse pehle musically ka ek account banana padta tha. Par ab aisa nahi hai iss tik tok musically app me modified kardiya gaya hai. Aap account nahi bhi banayenge to bhi logoke musically ya fir duet musically video ko dekh sakte hai.
Ye sab karne ke badh aap tik tok musically app ke home par jayenge to wahapar aapko upar follow or for you ka option dikhega. Agar aap for you bale option par jayenge to waha par aapko tik tok musically apne aap kuchh videos recommended karega. Aap chahe to bina account banaye hi wo videos dekh sakte hai.
Agar aap follow ke option par click karte hai to aapko kuchh popular musically user ka id aapko suggest karega to aap chahe to usse follow kar sakte hai. Agar aap usse follow kar lete to aapko uss user ka sabhi naye videos aapko suggest kardega musically. Aap usske videos dekhkar maje kar sakte hai.
Aapke samne jo videos chal raha hota hai agar aap videos ke owner ka profile dekhna chahte hai to aap uss video par click kar ke left side ku or slide kijiye. Fir aapko uss video ke owner ka profile dikh jayega. Wahase aap chahe to usse follow ya un follow bhi kar sakte hai. Ya fir waha se usske bareme jan sakte hai ya fir aap usske sabhi videos ko dekh sakte hai.
Aap home ke right side me dekhenge to aapko kuchh options dikhega jin mese aapko aapko sabse upar ek video ke owner ke profile icon dikhega jiss par ek + sign hoga. Agar aap uss user ke bareme details me jaanna chahte hai ya fir usse follow karna chahte hai to aap waha se usse follow bhi kar sakte hai.
> Usske badh aap niche dekhenge to aapko ek heart ka option dikhega aap usspar click karke videos ko like kar sakte hai. Aur aap waha se dekh bhi sakte hai ki iss videos me kitne like hai.
> Usske niche aapko Comment ka option dikhega aap usspar click karke comment kar sakte hai ki wo videos aapko kaisa laga. Ya fir aap jo bhi comment karna chahte hai.
> Usske badh aapko ek share ka option dikhega jo ki bohot hi important hai. Kyunki Issme aapko ek duet ka bhi option milta hai. Pehle kya hota tha ki hame video ko download karke alag se duet banana padta tha. Par ab aapko duet ka features issi tik tok musically app me mil jata hai. Aap chahe to kisi videos ko facebook , instagram , twitter etc. Jaise social networks par share kar sakte hai.
> Agar aap kisi ladke ya kisi ladki ke sath apna duet videos banana chahte hai aap share ke option par click karke duet ke option par click kijiye. Ek baaat yaad rahe issme aap sabhi ladke ya fir ladki ke sath duet videos nahi bana sakte hai. Kyunki kuchh log apne videos ko privacy karke rakhna chahte hai to wo duet ka option allow nahi karta hai. To aap check kar lijiye ki kis video me duet ka option hai aur kis me nahi.
> Jaise hi aap duet ke option pe click karenge to wo loading hoga aur fir duet banane ke liye ready hojayega to aap kaise duet video bana sakte hai. Isske bareme janne ke liye aap hamara ye post jarur dekh lijiye.
∆
Share aapko vopy link ka bhi option milega aap usspar click karke link bhi copy kar sakte hai agar wo videos ka link aapko kahi par vejna ho. Aur aise kuchh options dekhne ko milega.
> Niche apako ek cd ke roop me yani round me ek music ka option dikhega aap usspar click karenge to aapko uss music ke original owner ka naam dikhjageya. Waha par aapko uss music kitne videos bane hai wo bhi dikh jayega. Aur aapko niche ke video ka option dikhega aap usspar click karke ussi music par apna bhi tik tok musically videos bana sakte hai. Iskse bareme maine apne agle post bata di hai to upar maine link de rakha hai aap waha se dekh sakte hai.
> Jab aap niche dekhenge to aapko kuchh options dikhega jaise ki,
# Refresh | Reload :
Iss Refresh ya ni Reload bale icon par click karke videos ko Refresh kar sakte hai. Matlab aap reload bale option par click karte hai to wo sabhi videos hat kar naye videos aane lagega.
#Search :
Iss option pe click karenge to aapko kuchh prakar ka search karne ka option deta hai.
User:
Agar aap kisi user ko search karna chahte hai to aap user bale option par click karke user ka id ya naam dalna hota hai.
Sounds :
Agar aap koi music dialogue ya fir sounds ko search karna chahte hai to aap uss music ya dialogue yani sounds ka naam dalkar search kar sakte hai. Aapko trending sounds upar dikhadega tik tok musically.
Tags :
Aapko sabse best option search karne ke liye tags rahega kyun ki issme aap koi bhi music ya fir film ke dialogue ka naam search kardijiye. Apako uss naam se related sabhi tags ko tik tok musically show kardega. Sathme aapko uss dialogue ya song pe kitne users ne video banaya hai wo bhi show kardega. To aap jisspe jyada user ne banaya hai usspar click karke aap video dekhakar sikh bhi sakte hai.
Iss naya tick tok musically me bohot sare naya update aagaya hai. Aap iss tik tok musically ko use karenge to sab features ko jarur dekhenge aur isska bharpur majje uthayenge. Aap hamare pehle bala article musically ko kaise use karte hai wo jarur dekh lijiye.
Aap tik tok musically ke home par jayenge to waha par aapko niche ek red color me + ka button dikhega. Aap uss red color ke + ke icon par click karke aona video bana sakte hai. Waha par aapko effect ka option milega. Side me aapko video ka icon dikhega usspar continuous click karke aap video shoot kar sakte hai. Usske badh side me aapko video upload ka bhi option dikhega aap usspar click karke apne mobile phone se koi video upload bhi kar sakte hai.
Upar aapko ek select sound ka option dikhega aap usspar click karke sound bhi select kar sakte hai. Aur phir apna video uss dialogue ya song pe bana sakte hai. Aap select sound ke option par click karenge to aapko kuchh trending yani popular sounds aapko upar apne aap tik tok musically suggest kardega.
Aap effect ke option par click karke face filter laga sakte hai. Isse aap video ko kafi jyada funny bana payenge. Effect ke option me aapko AR ke sath sath aise bohot se features dekhne ko miljayega. Unsab ka use karke aap video ko kafi majedar bana sakte hai. Baki kuchh options pehle ke jaisa hi same hai ussko kaise use karta hai isske bareme maine apne ek ichhle bala post me bata rakha hu to aap wo post jarur dekhlijiye.
Aapko ek baat bata du ki tik tok musically pehle hala musically appko hi bolta hai bas isse naya update kardiya gaya hai. Aur ab ye tik tok musically app ke naam se famous hone laga hai.
Agar aap tik tok musically app me videos dekhna chahte hai to aapko login karne ki koi jarurat nahi. Aap bina login kiye hi niche slide karke musically videos dekh sakte hai.
Agar aap bhi apna musically videos banana chahte hai to aapko ussme login karna hoga. Aap sabse niche dekhenge to aapko ek profile ka option dikhega aapko usspar click karke apne phone number ,or email dalkar apna ek tik tok musically ka account bana sakte hai. Aap chahe to facebook , instagram , aur twitter ke account se bhi tik tok musically app me login kar sakte hai.
Ek bar tik tok musically me account bana lene ke badh aap edit profile me jakar. Waha se apne profile ko edit bhi kar sakte hai jaise ki bio, nickname , username , profile picture etc.
Aapko beauty mode bhi miljayega. Aap uss beauty mode ko on karke apne face ko video me aur jyada attractive bana sakte hai. Khaskar ye option ladkiya jyada use karte hai. Aap ladke hai to bhi use kar sakte hai kyunki ye dono me fit hojata hai. Agar aapse video bigad gaya hai ya fir galat shoot hogaya to aap usse delete bhi kar skate hai. Aapko waha par front camera , rear camera ka bhi option miljayega aap apne hisab ko camera ko bhi select kar sakte hai. Aapko cut ka bhi option milega agar aap chahe to video ko cut bhi kar sakte hai. Aapko kuchh filters bhi milega jisse aap apne video ko ek alag look de sakte hai. Aise aur bhi kafi sare features dekhne ko miljayega un sab ko use karke aap video ko kafi majedar bana sakte hai.
To iss tarha se aap tik tok musically app ko use kar sakte hai. Iss Post me maine kuchh options ko kaise use karte hai unke bareme nahi bata hu usske bareme maine apne pehle bala post me bohot achhi tarha se details me bata chuka hu. Aap ek bar uss post ko jarur dekhlijiye taki aapko bohot aasani hojaye Tik tok musically app ko use karne me.
Hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com ko visit karne ke liye bohot bohot dhanyavad aap issi tarha hamare blog ko visit karte rahiye. Ham hamesha aapke liye naye nayw post lekar aate rehte hai.
Dosto ummid hai aapko post achcha lga to please share kr do aur koi sawal ho ya koi shikayt ho to comment kro.
No comments:
Post a Comment
कोई शिकायत, कोई सवाल हो तो comment में पूछो