Techni Tech me aapka swagat hai is post me hm aapko Android phone ki kuch khasiyat batayenge to chaliye jante hai
Smartphone ki basic jankari – Android smartphones aur mobile phones aaj ke time me technology ke shikhar par hai. Smartphone ke alawa sayad hi kisi aur ki jarurat padti hai aaj ki new generation ko. Smartphone hamare dainik jivan ka ek hissa ban gaya hai. Smartphone ke bina hum kuch hi der me bor sa mahsus karte hai. Aaj ka yuva smartphone ki bina sayad hi ek din bhi rah paye.
.
Aaj ke samay me lagbhag sabhi ke paas apna khud ka ek mobile phone hota hai aur wo mobile phone smartphone hi hota hai. Bahut kam log ke paas hi smartphone nahi hota hai lekin unke paas mobile phone jarur hota hai.
Aaj ke samay me lagbhag sabhi ke paas apna khud ka ek mobile phone hota hai aur wo mobile phone smartphone hi hota hai. Bahut kam log ke paas hi smartphone nahi hota hai lekin unke paas mobile phone jarur hota hai.
Smartphone ke baare me aap bahut kuch jante hai lekin fir bhi aap smartphone ki basic jankari padhe aur jane ki smartphone ki kya khasiyat hoti hai? Aakhir ek mobile phone smartphone kyu kehlata hai?
Screen Size
Smartphone ki sabse badi khasiyat hoti hai uski touch screen. Lagbhag sabhi smartphone me screen size 4 inches ya usse adhik hoti hai. Jitni badi screen size hogi utna hi jyada smartphone chalane me maja aayega.
Smartphone me alag alag tarah ki display hoti hai jaise TFT, TFD, IPS LCD, OLED, AMOLED, Super AMOLED, CAPACITIVE TOUCH, RESISTIVE TOUCH.
Screen Resolution
Smartphones ki screen ka resulation hume best view deta hai. Smartphone me display screen par resulation ko pixel density ke hisab se naapa jata hai. Jitne jyada screen me pixel honge utni jyada display kisi bhi chiz ko clear dikhayegi.
Aapne dekha hoga ki kisi mobile ki details me us mobile ka screen resolution bhi likha hota hai jaise, 1440 x 2560 pixels. Iska matlab hota hai Height me 1440 pixel aur Width me 2560 pixel.
Battery Life
Battery life sabhi smartphones me alag alag hoti hai. Android ki battery life ko sabse kamjor samjha jata hai jabki windows ke smartphone ki battery sabse jyada chalti hai. Smartphone ki battery ko mAh (A milliampere hour) ke hisab se naapa jata hai.
Aaj se kuch saal pehle tak smartphones ki battery 1400 mAh se lekar 2500 mAh ki hoti thi jo ki bahut jaldi low ho jati thi. Aaj sabhi badi mobile companies apne smartphone me 4000 se lekar 5000 mAh tak ki battery life dete hai jo jyada service deti hai.
Camera Quality
Camera kisi bhi smartphone ki shaan hota hai. Smartphone ki madad se aaj hum HD me recording kar sakte hai jo kuch saal pehle tak sirf ek digital camera se hi sambhv tha.
Smartphone ke camera ko ‘MP’ ke hisab se dekha jata hai. MP ka matlab hota hai ‘Mega pixel‘. Jitne jyada mega pixel ka camera hoga utni jyada image detail me capture hogi. Jab bhi hum kisi image ko zhoom karte jate hai to wo dihire dhire bright hone lagti hai, isse hume camera ki quality ke baare me pata chalta hai. Agar camera jyada MP ka hoga to hum image ko jyada zhoom kar payenge.
Application
Kisi bhi smartphone ka main work app ko chalana hota hai. Sabhi smartphones ke alag alag app hote hai jaise Android ke liye android app, Apple ke liye IOS app aur windows phones ke liye windows app. In sab me android king hai kyuki android apps banana aur use karna aasan hai.
Video quality
Android smartphone me hum kisi bhi format ka video play kar sakte hai. Smartphone me hum youtube par video high quality me dekh sakte hai. 4g aane ke baad ab to hum live Tv aur live Cricket bhi apne mobile par HD quality me dekh sakte hai.
Easy Use
Aur aakhir me smartphone ki sabse badi quality, use chalana easy hota hai. Smartphone ka navigation itna saral hota hai ki hume kisi bhi tarah ki setting change karne me jyada time nahi lagta. Kahin bhi call karna ho ya message send karna ho ya apne dosto se chating, smartphone bina kisi dikkat ke hamara kaam aasani se kar deta hai. Sayad isiliye mobile phone ka naam smartphone ho gaya.
.
In sab qualities ke alawa smartphone dusre kaam bhi karta hai jaise calling karna, text message send karna, video calling karna, Alarm ka use karna, Flash light, Music etc. Aur agar kuch baaki rah jata hai to wo kaam hum app ki help se kar lete hai.
In sab qualities ke alawa smartphone dusre kaam bhi karta hai jaise calling karna, text message send karna, video calling karna, Alarm ka use karna, Flash light, Music etc. Aur agar kuch baaki rah jata hai to wo kaam hum app ki help se kar lete hai.
Ummid hai apkoa post achcha lga to share kr do
No comments:
Post a Comment
कोई शिकायत, कोई सवाल हो तो comment में पूछो