Techni Tech is the free technical helper for you in hindi We are here you don't care

test

Breaking

Post Top Ad

Your Ad Spot

Thursday, December 27, 2018

Internet browsing kr paise kamay

Techni Tech me aapka swagat hai aaj k is post me hm aapko ak aise app k bare me batayenge jo ki un logo k liye bahut fayde wala app hoga jo ki internet dinbhar chalate hai ya mtlb ki aap ab browsing kr paise kma skte hai to chaliye puri chij jane
Techni Tech

Earning krwane Wala Browser Konsa Hai ?


Friends mobile me internet chlakar hum jis browser se paise kma skte hai uska naam mCent Browser hai. Ye bhi same baki browsers ki trah kaam karta hai.  But isme baki sabse alag baat ye hai ki ye browser hume internet chlane ke paisebhi deta hai. Bas condition ye hai ki hume internet sirf ishi browser me chlna pdega, tabhi hume internet chlane ke paise milenge.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko bta dete hai ki ish browser me internet chla kar paise kmane ke liye aapko kya kya krna hoga.

mCent Browser Se Paise Kaise Kmaye ?


1. Iske liye sabse pahle aapko Ynha Click karke apne mobile me mCent Browser ko download krna hai.

2. Uske baad jab aap ishe open krenge to aisa page open ho jayega.


Ynha aapko mobile number dal kar isme sign krna hoga, so aap apne mobile number dal de. Ager aap chahe to facebook account se bhi isme sign in kar skte hai.

3. Uske baad aapke mobile number par ek OTP aayega, next page me aapko wo dalna hai aur mobile number verify krne hai.

4. Uske baad next page me aapka wo number jis company ka hai jaise article, vodafone, idea etc. Wo select kare aur apna state select karke Finish Up par click kar de.

Uske baad aapko +75 points new sign up krne ke milenge, jinse aap baad me mobile recharge kar skte hai.

mCent Browser Kaise Kaam Karta Hai ? mCent Browser Se Hum Kon Kon Se Triko Se Paise Kma Skte Hai ?


Friends mcent browser ka funda bilkul simple hai. Aap ish browser me jitna internet chlayenge, aapko utne hi jyada points milenge. Aap chahe ish browser me kisi bhi website ko use kijiye, aapko points milte rhenge.

Ish browser me 1000 points ka ₹ 1 rupya hota hai. Shuruwat me aapko sirf 4, 5 minute internet use krne par hi 5000 points ( ₹5 ) se 6000 points (₹6) tak mil jayenge.

Isme aapko paise kmane ke aur bhi kai trike mil jayenge. Jaise jab aap isme upper right corner me M Coin par click karke Earn More par click krenge to aapko kuch tasks milenge jinhe complete karkeaap paise kma skte hai.

Iske alawa aap apne friends ko invite karke bhi ish se paise kma skte hai. Ager aapka koi friend aapke send kiye gye invitation link par click karke ish app ko download krta hai to aapko uske 25000 points ( ₹25 ) ( current plan ke anusaar ) milenge.

But ye paise aapko turant nhi milenge, balki jab aapka friend ish browser ko apne mobile me installkrne ke baad 4, 5 din tak daily use krega, tab aapko iske 25,000 points milenge.

mCent Browser Se Mobile Recharge Kaise Kare ?


Jab aapke mCent wallet me enough points ho jaye tab aap unse kisi bhi mobile number par recharge kar skte hai.

mCent points se free recharge krne ke liye aapko browser me upper ki tarf ek M icon mil jayga, ush par click kare. Phir aisa page open hoga.


1. Ager aap kisi dusre number par recharge krna chahe to ynha click karke wo number add kar le.

2. Ynha aap ush number ke liye available recharge plans dekh skte hai. Inme se aapko jo plan lena ho usb par click karke aap wo recharge apne number par kar skte hai. But jab tak aapke pass enough points nhi jayenge tab tak aap recharge nhi kar skte hai. So pahle points earn kare uske baad recharge kare.

To ish trike se aap mCent browser ko apne mobileme use karke ish se paise kma skte hai. Ager mcent se related aapka abhi bhi koi sawaal ho to aap comment karke puchh skte hai.

To friends I hope ki Internet chla kar paise kaise kmate hai ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye article achha lga ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

No comments:

Post a Comment

कोई शिकायत, कोई सवाल हो तो comment में पूछो

Post Top Ad

Your Ad Spot